ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allaho Ta’ala Anho)

Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allaho Ta’ala Anho)


Khalifa e awwal janasheen beghambar ameer al momenin Hazrat Siddique akbar (Radi Allaho Ta’ala Anho) ka naam-e-naami “Abdullah” “Abu Bakar” aap ki kuniyat or “Siddique-o-ateeq” aap k laqab hain. Aap qureeshi hain or satwen (7) pusht main aap ka shijrah nasb Rasool Allah (Sallaho Alehe Wassalam) k khandani shijrah se miljata he. Aap aam alfeel k dhai baras baad makka mukarama main paida hue. Aap is qadar jama al kamalat or majma al fazail hain k Anmbia (Aleh Salam) k baad tamam agle pichle insano main sab se afzal-o-ala hain. Azad mardon main sab se pehle islam qabol kiya or safar-o-watan k tamam mushahid-o-islami jihado main mujahidana karnamo k sath shamil hue or sulah-o-jang k tamam faislon main Aap shenshah-e-Madina (Sallaho Alehe Wassalam) k wazeer-o-mushir ban k marahil nabuwat k har har mor par aap k rafeeq-o-janisar rahe. Do(2) baras teen(3) maah giyara(11) din masnad khilafat par ronaq afroz reh kar 22 jamadi ul akhra 13hijri mangal ki raat wafat pai. Hazrat Umar (Radi Allaho Anho) ne namaz-e-Janazah parhai or roza munawarah main Huzur Rehmat-e-Alam (Sallaho Alehe Wassalam) k pehlo-e-maqdas main dafan hue.
(Akmal-o-Tareekh Alkhulfa)



Karamat

1.    Khane Main Azeem Barkat

Hazrat Abad ur Rehman Bin Abu Bakar (Radi Allaho Anho) ka bayan he k aik martaba Hazrat Abu Bakar (Radi Allaho Anho) bargah-e-Risalat ke teen mehmano ko apne ghar laye or khud Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) ki khidmat-e-Aqdas main hazir hogaye or guftugu main masroof rahe yahan tak k raat ka khana aap ne Dastarkhun-e-Nabuwat par kha liya or bohot ziyada raat guzar kane k baad makan par wapis tashreef laye. Un ki biwi ne arz kiya k aap apne ghar par mehmano ko bula kar kahan ghayab rahe? Hazrat Siddique Akbar (Radi Allaho Anho) ne farmaya k kiya ab tak tum ne mehmano ko khana nahi khilaya? Biwi sahiba ne kaha k main ne khana paish kiya magar un lagon ne sahib-e-khana ki ghair mojodgi main khana khane se inkar kardiya. Ye sun kar aap ne apne sahib zade Hazrat Abad ur Rehman (Radi Allaho Anho) par bohot ziyada khafa hue or woh khof-o-dehshat ki wajha se chhup gaye or aap k samne nahi aye phir jab aap ka ghussa faro hogaya to aap mehmano k sath khane k liye beth gaye or sab mehmano ne khob shikam seer hokar khana kha liya. Un mehmano ka biyan he k jab hum khane k bartan main se luqma uthate to jitna khana hath main ata tha’ is se kahin ziyada khana bartan main niche se ubhar ka barh jata tha or jab hum khane se farigh hue to khana bajaye kam hone k bartan main pehle se ziyada hogay. Hazrat Siddique-e-Akbar (Radi Allaho Anho) ne Mutajjub ho kar apni biwi sahiba se farmaya k ye kiya muamla he k bartan main khana pehle se kuch zaid nazar ata he biwi sahiba ne qasam kha kar kaha waqei ye khana to pehle se teen guna barh gaya he phir aap is khane ko utha kar bargah-e-Risalat main le gaye jab subha hui to nagahan mehmano ka aik qafila darbar-e-Risalat main utra jis main barah qabilon k barah sardar the or har sardar k sath bohot se dosre shatar sawar bhi the. un sab logon ne yehi khana khaya or qafila k tamam sardar or tamam mehmano ka giroh is khane ko shikam seer kha kar aasoda hogaya lekin phir bhi is bartan main khana khatam nahi hua.
(Bukhari Shareef jild 1 Sfha 506 mukhtasiran)




Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor


Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

2 comments:

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!