ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Wednesday 23 September 2015

Hazrat Ali Murtaza (Radi Allaho Ta’ala Anho) Ki Karamat



Qabar Walon Se Sawal-o-Jawab

Hazrat Saeed Bin Masyyab (Radi Allaho Anho) kehte hain k hum log Ameer AlMomenin Hazrat Ali (Radi Allaho Anho) k sath Madina Munawarah k qabrustan Jannat ul Baqi main gaye to aap ne qabron k samne khare ho kar ba awaz-e-muland farmaya k aye qabar walo! Assalam-o-Alaikom Wa Rahmatullah! Kiya tum log apni khabren humain sunao ge ya hum tum logo ko tumhari khabren sunain? Is k jawab main qabron k andar se awaz ai. “Waalaikon Assalam Wa Rahmatulla Wa Barakatah.” Aye Ameer AlMomenin aap hi humain sunaiye k humari mot k baad humare ghar main kiya kiya muamlat hue? Hazrat Ameer AlMomenin ne farmaya k aye qabar walo! Tumhare baad tumhare gharon ki khabar ye he k tumhari biwiyon ne dosre logon se nikah kar liya or tumhare maal-o-dolat ko tumhare warison ne apas main taqseem kar liye or tumhare chote chote bache yateem ho kar darbadar phir rahe hain or tumhare mazbot or onche onche mehlon main tumhare dushman aram or chain k sath zindagi basar kar rahe hain. Is k jawab main qabro se aik murdeh ki ye dardnak awaz ai k aye Ameer AlMomenin! Humari khabar ye he k humare kafan purane ho kar phat chuke hain or jo kuch hum ne dunya main kharch kiya tha’ is ko hum ne yahan paliya he or jo kuch hum dunya main chor aye the is main humain ghata hi ghata uthana para he.
(Hijjat ullah alal alameen jild 2 safha 863)

Tabsarah

Is riwaat se malom hua k ALLAH TABARAK WATA’ALA apne mehbob bando ko ye taqat-o-qudrat ata fermata he k qabar wale in k sawalon k ba aawaz-e-buland is tarha jawab dete hain k dosre hazereen bhi sun lete hain. Ye qudrat-o-taqat aam insanon ko hasil nahi he. Log apni awazen to murdon ko suna sakte hain or murde un ki awazon ko sun bhi lete hain magar qabar k andar se murdon ki awazon ko sun lena ye aam insanon k bas ki baat nahi he balke ye khasan Khuda ka khas hissa or khasa he jis ko qabar walo ka ye iqbaliya bayan he k marne wale dunya main jo maal-o-dolat chor kar mar jate hain’ is main marne walon k liye sara sar ghata hi ghata he or jis maal-o-dolat ko marne se pehle Khuda ki rah main kharch karte hain’ wo un k kaam ane wala he.

Taleef
Allama Molana Abdul Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)

Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor

Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!