Khane Main Azeem Barkat
Hazrat Abad ur Rehman Bin Abu
Bakar (Radi Allaho Anho) ka bayan he k aik martaba Hazrat Abu Bakar (Radi
Allaho Anho) bargah-e-Risalat ke teen mehmano ko apne ghar laye or khud
Huzur-e-Akram (Sallaho Alehe Wassalam) ki khidmat-e-Aqdas main hazir hogaye or
guftugu main masroof rahe yahan tak k raat ka khana aap ne Dastarkhun-e-Nabuwat
par kha liya or bohot ziyada raat guzar kane k baad makan par wapis tashreef
laye. Un ki biwi ne arz kiya k aap apne ghar par mehmano ko bula kar kahan
ghayab rahe? Hazrat Siddique Akbar (Radi Allaho Anho) ne farmaya k kiya ab tak
tum ne mehmano ko khana nahi khilaya? Biwi sahiba ne kaha k main ne khana paish
kiya magar un lagon ne sahib-e-khana ki ghair mojodgi main khana khane se inkar
kardiya. Ye sun kar aap ne apne sahib zade Hazrat Abad ur Rehman (Radi Allaho
Anho) par bohot ziyada khafa hue or woh khof-o-dehshat ki wajha se chhup gaye or
aap k samne nahi aye phir jab aap ka ghussa faro hogaya to aap mehmano k sath
khane k liye beth gaye or sab mehmano ne khob shikam seer hokar khana kha liya.
Un mehmano ka biyan he k jab hum khane k bartan main se luqma uthate to jitna
khana hath main ata tha’ is se kahin ziyada khana bartan main niche se ubhar ka
barh jata tha or jab hum khane se farigh hue to khana bajaye kam hone k bartan
main pehle se ziyada hogay. Hazrat Siddique-e-Akbar (Radi Allaho Anho) ne Mutajjub
ho kar apni biwi sahiba se farmaya k ye kiya muamla he k bartan main khana
pehle se kuch zaid nazar ata he biwi sahiba ne qasam kha kar kaha waqei ye
khana to pehle se teen guna barh gaya he phir aap is khane ko utha kar
bargah-e-Risalat main le gaye jab subha hui to nagahan mehmano ka aik qafila
darbar-e-Risalat main utra jis main barah qabilon k barah sardar the or har
sardar k sath bohot se dosre shatar sawar bhi the. un sab logon ne yehi khana
khaya or qafila k tamam sardar or tamam mehmano ka giroh is khane ko shikam
seer kha kar aasoda hogaya lekin phir bhi is bartan main khana khatam nahi hua.
(Bukhari Shareef jild 1 Sfha 506 mukhtasiran)
Taleef
Allama Molana Abdul
Mustafa Azeemi (Rehmatullah Aleh)
Progressive Book
40 B Urdu Bazar Lahor
Kitab
Karamat-e-Sahaba
(Alehim Alrizwan)
No comments:
Post a Comment
Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!