ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Friday 23 September 2011

Janwar Farmabardar Ban Gaye


Hazrat Salman Farsi (Razi ALLAH-O-TAALA Anho)

Isi tarhan Hazrat Hasan Basri R.A farmate hain K Hazrat Salman Farsi (Razi ALLAH-O-TAALA Anho) Madin se chale aap K hamrah eek mehman bhi the aap ne jangal main hirnon ko phirte hue dekha or parindon ko urdte hue dekha aap ne farmaya tum main se eek hiran or eek parindah jo mote hon mere pas ajain kiyun K mere pas eek mehman aya he main is ka ikram karna chahta hun. Chunacha dono agaye is mehman ne kaha SUBHAN ALLAH kiya ye hawai parinde bhi aap ke taba farman hain? Hazrat Salman Farsi (Razi ALLAH-O-TAALA Anho) ne farmaya kiya tum is se taajub karte ho? Kiya tu janta he K koi bandah khuda ki farmabardari kare or koi shai is ki nafarmani kare.



Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Page No
269

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!