ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Friday 2 September 2011

Ibrahim Bin Adham R.A Ki Tauba


Hazrat Ibrahim Bin Adham R.A

Riwayat he k Hazrat Ibrahim Bin Adham R.A bade shehzadon main se the un k ghar bar or maal-o-dolat chhor kar nikal jane ka sabab ye tha k eek roz wo shikar k liyen gaye or eek lomdi (Fox) ya khargosh (Rabbit) ki talash main nikle abhi isi talash main hi the k ghaib se awaz aai k kiya tum isi k liyen paida kiye gaye ho kiya tum ko yehi hukum kiya gaya he? Phir in k ghorde ki zain se ye awaz aai k nahi na hum is k liye paida kiye gaye hain or na hum ko ye hukum kiya gaya he. Ye sunte hi Ibrahim R.A sawari se utre or charwahe ka combal ka kurta leker pehen liya­­_or apna ghoda or saman sab us charwahe ko de diya or khud isi halat se jangle ko nikal gaye.



Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Page No
152

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!