ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Friday 23 September 2011

Hazrat Luqman Hakeem Ke Husn-e-Suluk Se Fahasha Mard Ortain Muttaqi Ban Gaye

Hazrat Luqman Hakeem

Eek buzurg farmate hain K Hazrat Luqman eek shakhs ke ghulam siyah faam the wo shakhs aap ko bechne k liye bazaar le gaya. Jab koi kharidar ata tha to aap daryaft karte the k tum mera kiya karo ge. Jab wo apni koi zarorat bayan karta to aap farmate meri hajat ye he K tum mujhe na kharido. Hatta K eek kharidar ne aap ke jawab main ye kaha ke main tumhain chokidar banaun ga. Aap ne farmaya tu khareedle. Chunacha wo aap ko khareed kar apne ghar le gaya. Is malik ki teen fahasha lardkiyan thin  jo badkariyan kiya kartin thin. Us ko ittefaqan apni jaidad ki taraf jane ki zarorat hui to aap se keh gaya k main ne khana pani or zarorat ki sab chezen in ke pas pohncha di hain. Jab main nikal jaun to tum darwaza band kar K bahir bethe rehna or mere wapis ane tak darwaza na kholna. Chunacha jab malik bahir chala gaya to aap ne hukum ki tameel ki. Lardkiyon ne kaha darwaza khol de. Aap ne inkar kar diya. In lardkiyon ne aap ko maar kar zakhmi kiya or wapis lot gain. Aap khon dho kar wahin beth gaye. Jab malik wapis aya to aap ne ise is waqiye ki itela na ki. Phir dosri partaba baiyana yahi waqiya pesh aya. Ab badi lardki ne soncha k ye ghulam habshi keysa acha admi he bawajood ghulam hune K ALLAH ki ibadat main mujh se ola he main bhi zaror tauba karon gi. Chunacha is ne tauba ki. Phir choti ne kaha ye ghulam habshi or badi lardki dono mujh se ziyada ALLAH ki ataat karte hain main bhi zaror tauba karun gi is ne bhi tauba ki. Manjhli larki ne kaha ye habshi ghulam or dono behnen khuda ki ataat main mujh se behtar hain main bhi zaror tauba karun gi. Is ne bhi tauba ki. Jab sheher ke badmashon ne ye khabar suni to kehne lage ye habshi ghulam or falan shakhs ki lardkiyan hum se ziyada khuda parast hain ab hum bhi tauba karain ge. Chunacha in sab ne ALLAH ki bargah main tauba ki or sheher main sab muttaqi ho gaye.
 
 
 
 
 
Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

Page No
232

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!