Hazrat Hatim Assam R.A
Hazrat Hatim Assam R.A se pucha gaya k aap ne apni umar kis kaam main sarf ki? Farmaya chaar kamon main’ eek to ye K main janta tha k ALLAH ki aankh se main chhup nahi sakta pas mujhe sharam ai k is k samne is ki nafarmani karun’ Dusre main ne jaan liya k mera rizq mujh se tajawuz na kare ga or ALLAH TAALA ne is ka zimma bhi le liya he to main ne isi par atimad karliya or is se taalab tark kar k betha raha’ tisre main ne jaan liya k mujh par chand faraiz hain jinhain mere siwa koi dosra ada nahi kar sakta or is main mashghol ho gaya. Chothe main ne jaan liya k meri moot muaiyan se jo meri taraf jaldi kar rahi he to main bhi is ki taraf dordne laga or akhrat ki tayari karne laga ab main mashghol hun is chees ki fikar main jo mujhe ALLAH TAALA ki janib se milne wali he. Sawab ya Azab’ Rehem-o-Karam ya kuch or.
Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni
Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A
Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore
Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan
Kitab
Karamat-e-Auliya
Page No
235
No comments:
Post a Comment
Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!