ALLAH K WALI

ALLAH K WALI
Google Search

Sunday 28 August 2011

Dua Se Barish


Hazrat Sadoon Majnon R.A

Muhammad Bin sabah R.A farmate hain k ek martaba ham basra main the k wahan barish na hoi thi’ sab basra wale barish ki dua k liyen sheher se bahir jangal main aye kiya dekhte hain k sadoon majnon R.A sar-e-rah bethe hain. Jab unhon ne dekha to khare ho gaye or pucha k tum log yahan kiyun aye ho? Samawi (yani kadorat arda se pak-o-saaf) ya bilkul khali – main ne kaha nahi’ samawi-e-dil he. Farmaya agar ya baat he to betho or dua karo hum beth gaye or dua karne lage’ dua karte karte khob din charh gaya or asman par kahin abar ka naam-o-nishan tak nazar nahi aya balke or asman saaf hota chala gaya or aftab ki teezi barhti gai. Sadoon R.A ne ye halat dekh kar humari taraf iltafat kiya or farmaya arye behodo! Agar tumhare dil samawi hote to kiya ab tak barish na hoti? Phir khud uthe or wazo kar ke do rakat parhen or asman ki taraf dekh kar kuch farmaya k main is se mutaliq nahi samjha. Khuda ki qasam sadioon R.A ne abhi apna kalam khatam b nahi kiya tha k badal garja or bijli chamki or khob zor ki barish hoi phir hum ne sadoon R.A se daryaft kiya k tum ne sar utha kar kiya kaha tha farmaya jao hum logon ke dil ghamgeen hue or ahozariyan kin or phir muaina kiya or jaan liya jo kuch janna tha or kiya kuch kiya or apne rab par tawakal kiya.






Az
Qutub-e-Madina Hazrat Imam Abdullah Yafai Yamni

Urdu Tarjuma:
Hazrat Molana Jafar Ali Nagenwi R.A


Intekhab-o-Tehseel
Molana Imdad Allah Anwar
Ustad Jamia Qasim Alulom,Multan
Sabiq Mueen Altehqeeq Hafti Jameel Ahmed Thanwi R.A Jamia Ashrafiya Lahore

Darul Moarif
Inayat Por, Tehseel Jila Por Peerwala, Multan

Kitab
Karamat-e-Auliya

No comments:

Post a Comment

Please Share this blog to everyone!
Hadees ka mafhom he k Achi baat ko dosro tak pohnchana bhi Sadqa e Jariya he....!